Friday, June 10, 2011

Mohabaton Me Kuch Aise B Haal Hote Hain

Mohabaton Me Kuch Aise B Haal Hote Hain,,
Khafa Hon Jin Se Unhin K Khayal Hote Hain,,

Machalte Rehte Hain Zehnon Me Was'Wason Ki Tarha,,
Haseen Log B Jaan Ka Wabaal Hote Hain,,

Mai Dil K Zakham Chupaon Teri Tarha Kaise,,
K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain,,

Bus Ek Tu Hi hy Sabab Udasi Ka,,
Tarha Tarha K Dil Ko Malaal Hote Hain

Seyaah Raat Me Jalte Hain Jugnuon Ki Tarha
Dilon K Zakham B Kamaal Hote Hain.....! 

Saturday, June 4, 2011

Dard ka kard is kadar hei ki



dard ka kard is kadar hei ki,


aankhein num rehti hein


kuch aansu jo humne bahaye hi nahi


or aapne sumjha hum kabhi roye he nahi


aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein


or ik hum hein ik umer se soye hhi nahi


tere intezaar mein jo saanse li hein ab tak


har saans ka dard kuch is kadar hei ki


tujhe pani ki koshish thi tjhe khone ka gumm hei


teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein

Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehle



Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley


Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley


Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley


Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley

Friday, June 3, 2011

kitni bechain hai ye sanse meri



kitni bechain hai ye sanse meri 
bina tere bohat roti hain ye aankhein meri


kab se meri aankho ko neend aati he nahi
 bahain mangti hai mujh se ratain teri


jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi
 tum ko bola rahi hai ye bahein meri


kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bhut roti hai ye aankhein meri

Usne kaha Tha Sunoo...




Usne kaha Tha Sunoo...
Ehad Nibhane Ki Khatir Mat Aana..
Ehad Nibhane Wale Aksar
Majburi Ki Thakan Se Lauta Kerte Hai..
Tum Jao
Samandar Samandar Apni Pyas Bhujao
Jin Aankhon Main Utro
Jis Dil Main Duubo
Meri Tanhai Tumhain Awaz Na Degi
Magar Jab
Meri Khuwaish Aur Chahat Ki Leh
Itni Oonchi Aur Tez Ho jaye
K Dil Ro de
Tou
Laut Aana... :-/

Tumhara naam sunte hi bahut kuchh yaad aata hai



Tumhara naam sunte hi bahut kuchh yaad aata hai
Khushi me guzra hua ek zamana yaad aata hai


Itni door ho gaye ho humse tumhe bula bhi nahi sakte
Aankhe bandh karte hi tumhara chehra yaad aata hai


Kaise bhuladu tumhe ab tum hi batado Sanam
Kiya tha kabhi jo tumse wo wada yaad aata hai


Kabhi jaker sagar kinare banaya tha jo gharonda humne
Aaj toota hua ret ka wo mahel yaad aata hai


Kabhi socha na tha maine hum yu bichhad jayenge
Bachpan ka wo roothna wo manana yaad aata hai


Char pal wo Zindagi ke wo mehfilo ki roshni
Deepak ke ujale me bhi gum ka andhera yaad aata hai


Ab to is tanhayi me ghoont ke mar jayenge hum
Hum se wo chhoota hua tumhara daman yaad aata hai

Thursday, June 2, 2011

Hatheli samne rakhna...






Hatheli samne rakhna...
Ke sab ansoo giren is mein
jo ruk jaye honto per...
samjh jana ke wo hon main
.
Kabhi jo chand ko dekho...
To tum yun muskra dena...
Ke phir badal bhi ajaen..
samjh jana ke wo hon main
.
Jo chal jaye hawa thandi..
To ankhen band kerlena...
Jo jhonka tez ho sab se..
samjh jana ke wo hon main
.
jo zada yaad ao main...
to ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aye...
to samjh jana ke wo hon main
.
Agar tum bhoolna chaho
mujhe shayed bhula do tum
magar jab saans aye gi..
samjh jana ke wo hon main..

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon Suno !





Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana Chahta Hoon


Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon


Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon


Mere Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

UDAS SHAMAIN UJRE RASTAY KABHI BOLAIN TO LOOT ANA






UDAS SHAMAIN UJRE RASTAY KABHI BOLAIN TO LOOT ANA
KISE KE ANKHOON MAIN RUTJAGOON KAY AZAB AEEN TO LOOT ANA


JO SHAM DALTAY HI APNI APNI PANA GAHOON KO LOT`TAY HAIN
AGAR WO PANCHE KABE KOEE DASTAN SUNAEEN TO LOOT ANA..


NAY ZAMANY KA KARB ORAAYE ZAEEF LAMHAY NADHAL YADAIN
TUMARAY KHAWAB KAY BAND KAMROON LOT AEEN TO LOOT ANA..


MAIN ROZ YOON HI HAWA PA LIKH LIKH US KI TARAF BEJTA HOON
KE ACHAY MOSAM AGAR PAHAROON PAY MUSKORAIN TO LOOT ANA..


AGAR ANDHEROON MAIN CHOR KAR BHOOL JAIN TUM KO TUMARE SATHEEE
AUR APNI KHATIR APNAY APNAY DIYAY JALAIN TO LOOT ANA..


MEREE WO BATAIN TO JIN PER BAY AKHTIYAR HANSTI THI KHILKHILA KAR
BICHARNAY WALAY MERE WO BATAIN KABI RULAIN TO LOOT ANA

Kal raat janay kiya hoa !!






Kal raat janay kiya hoa!!
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashq milnay aa gaey
Kuch khoab bhi tootay hoey..


Kuch raasta bhatki hoi,
Kuch gard mai lipti hoi,
Bay rabt si soochain kaee...
Bhooli hoi batain kaee
Eik shakhs ki yaadain kaee


Phir dair tak jaga raha
sochoN mai gum baitha raha
ungli say thanday farsh per
ek naam bas likhta raha


kal raat hi wo raat thi
kuch dair pehlay neend say
main dair tak rota raha

waqt ki aanch main pather bhi






waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain


koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain

kisi k u bicharnay say kisi k yaad anay






kisi k u bicharnay say


kisi k yaad anay say


buhat say loog rotay hain


k rona aik rewayat hai


rewayat toor jata hon


tumhari yaad anay per


main aksar muskarata hon

Yeh pal pal ka chalna






Yeh pal pal ka chalna,
fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!


Yeh guzarti huwi raat hai,
ya nikalti huwi sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!


Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!


Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte huwe sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!
yeh kaisi uljhan ban gayi hai
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!

KAB KON KESE KA HOTA HAY





KAB KON KESE KA HOTA HAY.


SAB JHOTAY RESHTAY NATAY HAIN,


SAB DIL RAKHNAY KE BATAIN HAIN.


IKHLAQ SAY KHALE LOG YAHAN .


LAFZOON SAY TEER CHLATAY HAIN.


IK BAR SAMA KAR ANKHOON MAIN .


PHIR SARE OMER ROLATAY HAIN.

Kya sarokaar ab kisi se mujhe






Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe


Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe


Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe


Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe


Kar gaye kis qadar tabaah Zia'
Dushman andaaz e dosti se mujhe...

Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath






Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath




rishtey,wafaein dosti sab kuch toh pass hai
kiya baat hai pata nahi dil kiun udaas hai


har lamha hai haseen naye dilkashi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath


chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbar bhi hai
aankhon mai khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai


dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath


socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar


qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

Main soun to khawabon main ho tum






Main soun to khawabon main ho tum
Main jagoon to mere khyalon main ho tum


Main nazar uthaoon to meri ankhon main ho tum
Main chaloon to meri manzil ho tum


Main likhoon to mera qalam ho tum
Main parhoon to meri ghazal ho tum


Main gungunaoon to mera geet ho tum
Main sunaoon to meri dastaan ho tum


Main dhoop main hoon to mera saibaan ho tum
Main raat main hoon to meri sahar ho tum


Main sochoon to mera khayaal ho tum
Main mangoon to meri DUA ho tum